Tuesday, October 16, 2007

MULAKAT

AAKASH ME BADAL HE LEKIN
BARSAT NAHI HOTI.
DIL ME PYAR HE LEKIN,
MULAKAT NAHI HOTI.

Pyaar

Khuda kisi ko kisi par fidaa na kare,
Agar kare to Qyamat tak judaa na kare

Koi pyaar kare, to tumse kare.
Tum jaise bhi ho, waise kare.
Tumko koi badal ke pyaar kare,
To woh pyaar nahi, sauda kare.
Aur saiba, pyaar mein sauda nahi,
sirf aur sirf PYAAR kare................

Faaida......

Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaata nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil todte hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit saka na zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaane par girane se kya faaida

Main......

Ek pyar ke khatir itna chala main,
ke har rah me mere kadmon ke nisha milen.

TUM....

BADI MUSHKIL SE IS DIL NE PHIR IQRAAR KIYA,
ANKHIEN BAND KARKE IZHAAR KIYA,
TUMNE TO YEH BHI NA SOCHNA CHAHA,
KI IS DIL NE TUMSE KYUN PYAR KIYA

Tera Naam................

Garmiyen husratein nakaam se jal jate hain,
Hum chiragoon ki tarah shaam se jal jate hain..
shama jis aag mein jalti hai numaish ke liye,
Hum ussi aag mein gumnaam se jal jate hain....
Jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath,
Jaane kyoon log mere naam se jal jate hain......

Tujhse naaraaz nahi zindagi, hairaan hoon main

Tujhse naaraaz nahi zindagi, hairaan hoon main
Tere masoom sawalon se pareshaan hoon main

jeene ke liye socha hi na tha, dard sambhalane honge
muskuraoon to, muskurane ke karz utaarne honge
muskuraoon kabhi to lagata hai jaise hontonn pe karz rakhaa hai....

Aaj agar bhar aayi hai, boondein baras jaayengi
kal kya pata inke liye aakhen taras jayengi
jaane kahan gum kahan khoya ek aansu chhupake rakha tha tujhse ...

Zindagi tere gum ne hamain rishte naye samajhaye
mile jo hamain dhoop main mile chhaanv ke thande saaye

Tujhse naaraaz nahi zindagi, hairaan hoon main
Tere masoom sawalon se pareshaan hoon main

Thursday, October 4, 2007

Nazdeek Aake dekh......

Mujh ko na dekh Door se Nazdeek aa ke dekh
Patthar hoon Halka Phool se Mujh ko utha ke dekh

Lafzon ke Libaas mai utarta nahi koi Pareshani
Tu apni apne hi Ghar mai suna ke dekh

Ye kya ke But bana lye Pathar tarash kar Tu
Aadami ko Aadami magar bana ke dekh

Chehre ke Daag aise to aate nahin nazar
Darpan ke Ru-ba-Ru zara Nazrein mila ke dekh

Khushbu ko kaise le uda Jhonka Hawa ka Dost
Tu bhi to apne Pyar ki Khushboo Luta ke dekh

Mai Aur Tu..........

Teri tasweer meri ankhon main basee kyun hai
Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai

Teri yadoon se wabasta meri takdeer hai
lekin tujhe na paa ke meri takdeer roothi kyun hai

Mujh ko hai khabar asaan nahin tujhe haasil karna
phir bhi ye intizaar ye bekarari kyun hai

Barson guzar gaye meri tanhayee main lekin
Meri baanhon ko aaj bhi tera intezaar kyun hai

Teri chahat ki kasam khoon ke aansoon royaa hoon
Ab nahin hai kuch bakee phir ye jaan bakee kyun hai

Khatam hua mera ye afsana ek baat bata doo lekin
Anjaam tha maloom mujhko phir ye muhabbat kyun hai....!!!!!!!

Wednesday, October 3, 2007

ZINDAGI.....

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si

Kabhi khushi hamaray sath sath
Kabhi gammon ki barsat si

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tufaano main bhi hain rastay

Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pe zindagi

Kabhi saddiyon tak intezar si
Yeh zindagi bari ajeeb si

Kabhi her pal imtihaan hai
Kabhi bin mange inaam hai

Kabhi kuch nahi Kabhi sab kuch si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si....

Aadat Hai Mujhe...........

Gham ko chupaanay ki aadat si hai mujhe...!
Khud ko sataane ki aadat si hai mujhe...!
Jaan le na koi haal-e-dil is dar se...!
Bewajha muskurane ki aadat si hai mujhe...!
Yun to tere dar se namuraad lauta hoon...!
Qismat ko aazmaane ki aadat si hai mujhe...!
Mein jantaa hoon ke too laut kar na ayegaa...!
Dil ko behlaane ki aadat si hai mujhe...!
Chaand gham na kar mein bhi tera saathi hoon...!
Ke ratjagae manane ki aadat si hai mujhe...!
kabhi to woh bhi sochain ge acha nahi hua...!
Khush fehmian jagane ki aadat si hai mujhe..

Tanhaiyan.....

sab se chhupa ke dard jo woh muskura diya....
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya.....
lehje se uth raha tha har ek dard ka dhuaan...
chehra bata raha tha ki kuch gawa diya...
aawaz mein thairav tha ankhon mein nami thi...
or keh raha tha ki mein ne sab kuch bhula diya....
jane kya usko logon se thi shikayatein....
tanhaiyon ke desh mein khud ko basa diya...
khud bhi woh hum se bichad kar adhura sa ho gaya....
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya....

Main.....

agar main door ho jaoon
tu palkon ko jhapaka dena,
agar aansoo gire koi samjh jana ki wo hu main..
hatheli samnae rakhna ki sab aansoo girain us main,
jo ruk jayega hoton par samjh jana ki wo hu main..

kabhi jo chand ko dekho to tum yun muskura dena,
ki phir baadal bhi aa jaye samjh jana ki wo hu main..
jo chal jaye hawa thandi to aankhain band kar lena,
jo jhonka tez ho sabse samjh jana ki wo hu main ....

Tu Bahut Yaad Aaya.......

Aaj Rootha huwa ek dost bahut yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bahut yaad aaya.

Meri aankho ke har ek ashk pe rone wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bahut yaad aaya.

Jo mere dard ko seene main chupa leta tha
aaj jab dard huwa mujh ko bahut yaad aaya.

Jo meri aankh main kajal ki tarah rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bahut yaad aaya.

Jo mere dil ke tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil ne bulaya tu bahut yaad aaya

NISHANA..

FALAK KE TEER KA BHI AJAB NISHANA THA,

YAHA MERA GHAR UDHAR USKA AASHIYANA THA,

PAHUCH RAHI THI KASHTI-E-UMEED KINARE PAR,

KAMBAKHT TOOFAN KO BHI USI WAQT AANA THA...........

Uska Imaan........

jo kaha karte the ki kabhi hum beimaan nahi honge,
unhi ke imaan ko dekha aaj humne dagmagate huye,
jin haathon se ummeed thi phul barsaane ki,
unhi haathon ko dekha aaj patthar barsaate huye,
jis waqat par naaz hua karta tha kabhi mujhe,
ussi waqat ko dekha ret sa hathon se nikal jaate huye,
jisne kaha tha ki ye saath nahi chhutega apna kabhi,
ussi ko dekha aaj apna daaman mujhse chhudate huye,
meri inn wafaaon ka kya sila chuka paaogi tum,
jise dekha ek bewafa ki pairon ki thokar khate huye....

Yaad Aati Hogi......

Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi,
Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi,

Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai,
Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi,

Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai,
Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi,

Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar,
Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi,

Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein,
Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi,

Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai,
Mere liye apna chain bhi gawanti hogi,

Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon,
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi,

Jiske liye meri har raat hai karwat karwat,
Kabhi to use bhi neend na aati hogi,

Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan,
Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi,

Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir,
Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi..!!

Woh Ladki......

Hanste Hanste Roo Padti Thi …
Kitni Pagal Wo Ladki Thi……
Us Ke Hont To Chup Rehte The ……
Aankho Se Baatain Karti Thi……
Chhat Pe Dhoop Main Baithe Baithe……
Din Bhar Wo Sapne Bunti Thi ……
Uljhi Yaadein Suljhane Main …..
Saari Raat Ganwa Daiti Thi ……
Kitna Tha Thehraoo Us Main …….
Lekin Wo Kitni Gehri Thi ……
Ek Din Chalte Chalte Uss Ne ……..
Mujh Se Koi Baat Kahi Thi …….
Aur Phir Raasta Ek Naya Tha …….
Us Ki Manzil Aur Koi Thi ……
Bilkul Waise Phool Khilay Hain …….
Jaise Wo Haansti Rehti Thi …….
Aab To Bhool Gaya Hoon usko ……
Jis Per Ek Ghazal bhi Likhi Thi…….

Do dil ke fasane.....

Do pal ke haseen khwaab,Do dil ke fasane,
Yaad aate hain ab bhi,Woh guzre zamane,
Saanson ki mehak unki,Mohabbat se kahi hr baat,
Mashook bari zalim thi,Bari qaatil hai unki yaad,
Bhoole bichare woh waade,Kache dhaagon si woh kasmein,
Do pal ke the saare,Na Hue kabhi woh apne,
Yaad aate hain ab bhi,Woh guzre zamane,
Do pal ke haseen khwab,Do dil ke fasaane...

Barsaat ka Mausam......

bahut bechain karta hai mujhe barsat ka mausam..
baraste motiyon wali ghaneri raat ka mausam..

umad aata hai aise mein ye palkon ki mundero par..
sulagtey, dil jalate, reshmin jazbaat ka mausam..

teri qurbat mein khamoshi ka alam hai kya kehna..
kabhi na keh ke bhi keh jaane wali baat ka mausam..

mohabbat lakh rang badle magar badla nahi ab tak..
tumhari sheh ka mausam, hamari maat ka mausam..

teri palkon ka jhukna surmayi se baadlon jaisa..
jo uthein to badal dalein ye kaynaat ka mausam

Woh Ghazal.........

Mujhse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,
har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,
ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine.

Bas ab aur nahi...........

Ek lambi khamoshi ko seene se lagane wale hain
Din aa gaye humare aur ab hum bhi jaane wale hain,

Aye duniya teri her inaayat per hazaaron salaam
Tere sitam pe roye hum ab tujh ko rulaane wale hain,

Na kaho ki mere raaz-e-maut me ishq ka rog bhi shaamil hai,
Itni haseen si bhool pe hum ab kab pachtaane wale hain

Ye jo dhule dhule se chehre hain, jo lagte hain kuch apne se,
Jeevan ras ke paimaano me ye zahar pilaane wale hain

Ye log jo tumko dikhhenge, num aankhon me sadmaaye hue,
Do ghante aansoo ko bahaa , kal kaam pe jaane waale hain

Itne barson ke rishto ko lamho me bhulane wale hain,
Din aa gaye humare aur ab hum bhi jaane wale hain

Itni Mulaqat Bahut Hai....

Woh Keh Kar Chale Itni Mulaqat Bahut Hai,
Main Ne Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai....

Aansoo Mere Thum Jaye To Phir Shauk Say Jana,
Aise Main Kahan Jaoge Barsaat Bahut Hai....

Wo Kehne Lage Jana Mera Bahut Zaruri Hai,
Nahi Chahti Dil Tod du Tera Per Majboori Hai....

Gar Hui Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena,
Mainne Kaha Ho jao Chup Itni Kahi Baat Bahut Hai....

Samajh Gaya Hoon Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi,
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi....

Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Laut Ke,
Sari Zindagi Tanhayi Ke Liye Aaj Ki Raat Bahut Hai...!!!!!!!!

Kya Kahu tumhe...........

tumhe main chaand bhi nahi keh sakta
kyonki suna hai chaand me to daag hota hai
tumhe main suraj bhi nahi keh sakta

kyonki suraj me to bahut taap hota hai
tumhe main barkha ka baadal bhi nahi keh sakta

kyon ki baadal to bahut kala hota hai
tumhe main dharaa bhi nahi keh sakta

kyonki dharaa to khud bahut pyaasi hoti hai
tumhe main samudr bhi nahi keh sakta

kyonki samudr to bahut khara hota hai
tumhe main sona bhi nahi keh sakta

kyonki sona to ghamand ka prateek hota hai
tumhe main kis nam se pukaarun kis se tulna karun

shayad tum iss gareeb ki koi kalpna ho
mere shabdon me dhali koi geetika ho

iss dil se nikle jazbaat ho or kuchh nahi
bas kuchh nahi or kuchh nahi ......

Nahi Hota......

Dil Faqat Dil Hai, Aashiyan Nahi Hota
Hathon Ki Lakeeron Mein Aasman Nahi Hota
Jo Log Bikhar Jate Hain Ret Ki Manind

Jalne Se Kabhi Unke Dhuwaan Nahi Hota
Kya Hua Jo Bichad Gaya Koi Raah-E-Talab Mein

Ek Shakhs Ke Jane Say Shehar Veeraan Nahi Hota
Yun To Khainchati Hain Mujh Ko Har Shahar Ki Galiyaan

Har Shahar To Magar Tera Aastaan Nahi Hota
Kyon Jalate Ho Tum Ab Nayi Mashalein

Kiya Ghar Ke Jalnae Se Charaghaan Nahi Hota
Uss Se Keh Do Ab Uss Ki Zaroorat Nahi Rahi

Hum Hi Se Ab Uska Intezaar Nahi Hota

Achha Lagta Hai.....

Deewaron Se Milkar Rona Acha Lagta Hai,
Hum Bhi Paagal ho jayenge Aisa Lagta Hai,

Duniya Bhar ki yadein hamse Milne Aati hain,
Shaam Dhale Is sune ghar me Mela Lagta Hai,
ham bhi paagal ho jayenge aisa lagta hai....

Kitne Dinon Ke Pyaase Honge Yaron Socho to,
Shabnam ka Katra Bhi Jinko Darya Lagta hai,
ham bhi paagal hojayenge aisa lagta hai...

Kisko ab mai pathar maroon, Kaun Paraaya hai
Sheesh Mahal Me har EK Chehra Apna lagta hai..
ham bhi paagal hojayenge aisa lagta hai...

Iske Bharose mat rehna..

Saaya banke saath chalenge iske bharose mat rehna,
Apne hamesha apne rahenge iske bharose mat rehna
Saawan ka mahina aate hi Baadal to chaa jaayenge,

Har Haal me lekin Barsenge iske bharose mat rehna
Suraj ke Manind Safar par roz nikalna padta hai

Baithe Baithe Din Badlenge Iske Bharose mat rehna,
Saaya banke saath chalenge iske bharose mat rehna,
Behti Nadi mein Kache Ghade Hain Rishte Naate Husn Wafaa

Dur Talak yeh Behte Rahenge, Iske Bharose mat rehna...
Saaya banke saath chalenge iske bharose mat rehna....

tanahaaiiyon kaa shikaar aadamii

har taraf har jagah beshumaar aadamii
phir bhi tanahaiyon ka shikaar aadamii
subah se shaam tak bojh Dhotaa huaa

apani hi laash ka Khud mazaar aadamii
har taraf bhaagate daudate raaste

har taraf aadamii ka shikaar aadamii
roz jita hua roz marta hua

har naye din naya intazaar aadamii
zindagii ka muqaddar safar dar safar

aakhirii saans tak beqaraar aadamii

JAB NAAM TERA PYAR SE LIKHTI HAI UNGLIYA


JAB NAAM TERA PYAR SE LIKHTI HAI UNGLIYA,

MERI TARAF JAMANE KI UTHTI HAI UNGLIYA


JIS DIN SE GAYE DOOR TUM, US DIN SE HI SANAM,

DIN RAAT TERE AANE KE PAL, GINTI HAI UNGLIYA


DAMAN SANAM KA HAATH ME AAYA THA EK PAL,

DIN RAAT US PAL SE HI MAHAKTI HAI UNGLIYA


PATHTHAR TARASH KAR NA BANA, TAJ EK NAYA,

FANKAR KI IS JAHAN ME, KUTTI HAI UNGLIYA


JAB NAAM TERA PYAR SE LIKHTI HAI UNGLIYA,

MERI TARAF JAMANE KI UTHTI HAI UNGLIYA

CHALNA PADA MUJHE....


KALIYON KO BHI PAIRON SE MASALNA PADA MUJHE
JINE KA APNA DHANG HI BADALNA PADA MUJHE
HAATH KO BHI HAATH JAHAN SUJHTA NAHIN HAI
UN RASTOON PE AKSAR CHALNA PADA MUJHE
KYA PUCHTE HO MERI TARAKKI KI DASTAAN
HAR ROJ NAYE SANCHE MAIN DHALNA PADA MUJHE
CHHUPANA JISE BADA HI AHAM THA -E- DOSTO
WO RAAJ BAAR- BAAR UGALNA PADA MUJHE
PUCHHO MAT TUMHARI JUDAI KI AAG MAIN
GILI LAKDI KI TARAH JALNA PADA MUJHE
APNE SAFAR KI CHARCHA KAISE KAROON "VISHAL"
THAK KE THA CHUR-CHUR MAGAR CHALNA PADA MUJHE

Azamaaish......

Hum ko kab tak vo aazmaayenge..
aur kitnaa humein sataayenge....??
gham-e-dauraan ki kashmakash mein humein

'kya khabar thi vo bhool jaayenge'......
do qadam saath chalte chalte phir

humko tanhaa vo chhod jaayenge
saari qasmon ko, saare vaadon ko,

ham to samjhe the, voh nibhaayenge...
ab bhee ummeed hai mere dil ko

kal ko shaayad vo laut aayenge!
meri taareek zindagii mein,

phir pyaar ke diye vo jalaayenge!
agar mere pyaar pe yaqeen na huan

to unko dil cheer ke dikhaayenge!
bhool kar sab shikaayateN,

un ko pyaar se ham gale lagaenge.......
maaf karke khataooN ko unkiiphir se ghar apna hum basaayenge!!

Asaan ho jata.....

kash! tujhse bichadna itna asaan ho jata
waqt ke sath tera dard bhi fana ho jata
jo tu ne naa kaha wo bhi bayan ho jata
hasraat thi tere ghar ke samne ashiyaan ho jata
kash ! teri baton ko suna gaur se hota

toh aaj likhna kuch assaan ho jata
tujhse milte aur kabhi bichadh naa pate
kash! aisa koi mujaza ho jata
tumne agar bas nazron se bhi kaha hota toh
aaj mera ye ghazal poora ho jata
iss tarah teri ye ghazal meri yaadon main jawa ho jata

Is Ke Siwa Kuch Nahi.......!!!!!!!!!

Zindagi Main Hai Dhoka Is Ke Siwa Kuch Nahi
Tamashaei Hai Yeh Duniya Is Ke Siwa Kuch Nahi
Meri Zindagi Se Pochiye Zindagi Kya Hai
Zindagi Hai ek Khawaab Is Ke Siwa Kuch Nahi
Khushiyan Hain Lakhon Is Dunya Main Magar
Udasi Hai Mere Dil Main Is Ke Siwa Kuch Nahi
Mujh Se Jo Log Bhi Mile Hain Khush Hokar
In ke Dilon Main Hai Nafrat Ke Siwa Kuch Nahi
Wade,Karte Hai Log Magar Jante Nahi
Wafa KarnaBewafai Hai Is Dunya Main Is Ke Siwa Kuch Nahi
Pal Main Jisse Chaha Usse Pal Main Bhula Diya
Yeh Khel Hai Duniya Ka Is Ke Siwa Kuch Nahi
Tum Ko Chaha Hai Magar Kuch Bhi Nahi Socha
Ke Duniya To Hai ek Sabab Is Ke Siwa Kuch Nahi...!!!!

Darr Lagta Hai.......

na chaho itna hamein chahato se dar lagta hai,
na aao qareeb itna ki judai se dar lagta hai,
suna hai mohabbat qurbani mangti hai,
qurbani dene se ab dar lagta hai,
tumhari wafaon pe yaqeen hai,
apni zaat se dar lagta hai,
socha na tha kisi ko itna chahenge,
ab to apni soch se bhi dar lagta hai

Mohabbat.....

Mohobbat ki kashti me sawaar the hum,
socha tha pahunch jayenge chahat ke gaon mein,
dubne lage to hosh aaya,
hum to baithe the kagaz ki naav mein...!!!!!!!!!

Intezar

Ek umar kya janam-janam karenge tera intezar,
Ek umar kya janam-janam karenge tera intezar,
rahe-wafa nibhane ke liye ye kimat kam to nahi.............

Mom ki tarah pighalte hue dekha usko...!!!!

Mom ki tarah pighalte hue dekha usko,
Rut jo badli to badalte hue dekha usko ...

Woh jo kanton ko bhi narmi se chhua karta tha,
Hum ne phoolon ko masalte hue dekha usko ...

Jaane kis ghum ko chhupane ki Tamanna thi,
use Aaj har baat pe hanste hue dekha usko ....

Jaane maange jata hai duaoon main kise,
Haath uthate hi sisakte hue dekha usko...

Aansu jo beh rahe hain inhe behne do

Aansu jo beh rahe hain inhe behne do
Yeh keh rahe hai dil ki baat, kehne do
Bahut bewafa ho tum, ye hum ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apne tak hi rehne do
Mila to kya mila tumhe chahne ke baad
Bas dukh hi seh rahe hai, humein sehne do
Tumne to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehne do
Mar gaye auron ke liye ham yaara
Tum apni khatir hum ko Zinda rehne do..

Wednesday, September 19, 2007

samajh na sake dooriyan kyun thi

samajh na sake dooriyan kyun thi,
zuban per the lafz phir majbooriyan kyun thi,
dilon ki baat agar chaye haqiqat hoti hai,
hamare darmiyan woh khamoshiya kyun thi,
bune the humne bhi kuch reshmi dhaagon ke khwaab,
humare hisse mein woh kaali dooriyan kyun thi,
idhar hothon per azab si joombish,
udhar kuch raaz dil ke talon mein,
samajh sake na sargoshiyan hawaon ki,
humare hisse mein sehra ki andhiyan kyun thi,
tumhe gurez meri chand baaton se,
main bhi parwaz ka tha hamil,
pahoonch ke mill ke patthar per sochta hoon,
safar tanha to phir woh dooriyan kyun thi…